+ Post a Comment HERE!   + Ask a Question / Post a Topic
Results 1 to 4 of 4

In relationship with 10 year older bf - Father issue

Advert.

  1. #1
    swamit
    swamit is offline Just in!

    In relationship with 10 year older bf - Father issue

    Advert.
    hi m 20yr old girl. n in a relation wid a guy whos 10yr older than me. v r in a serious relationship for about past 6 yrs. my bf's family knwz about ths relationship n are 100% supportive infact they want us to get married as soon as possbl..... the main prblm is wd my family...  jab mein school me thi tab mere dad ne mere n mere bf k kuch personal msgs padh lie the... tab unhone normaly as a father mujhe samjhaya ki ye sab thk nhi h n ol ..hum luv marriage k against nhi h but ye sab correct age par hona chahye... mein unki baat se sehmat hu n unki baat ko respect bhi krti hu.. vo apni jagah thk the n me apni jagah thk thi.. coz bachpan se hi mere relation apne parents k sath ache nhi the.. me akelapan mehsus karti thi.. tab meri lyf me mera bf aaya to mujhe ek sath mil gya.. is case k bad mere dad ko lga ki me ab relationship se bahar hu..but v stl contnd... kuch tym bad mene apni mom ko sab bta diya ki me abhi bhi relationshp me hu... ab mere bf k parents hamara rishta aage badhana chahte h..par me apne parents se baat kaise karu..??? coz abhi meri age bhi itni nhi h ki me shadi ki baat kar saku..na hi abhi career wise me set hui hu.. mere dad hadd se zayada aggresive nature k h..jis vajah se hamari puri family dilse nakhush rehti h unse... unse agr mene is relationshp kbare me baat ki to vo hangama macha denge.... ab me karu to kya karu... apne in-laws ko kab tak talu,vo apni jagah bhithk h kyunki unhe apne bete ki shadi sahi age me karani h... but mein abhi is point of tym par apne parnets se kaise baat karu n kya kahu.....

  2. #2
    swapnilramani's Avatar
    swapnilramani
    swapnilramani is offline eTI Iron
    Dekho jese aap bata rahe ho ke aapke or aapke bf ke bich me takriban 10 saal ka fark hai or aap 20 k ho iska matlab wo 30 ka hoga is hisab se uske gharwalo ka uski shadi ke liye jaldbazi karna yeh jayaz hai q k har mumy dady apne baccho ki bhalai chahte hai or apke bf ke case me unki umar ab shadi k layak ho gai hai, aapne sirf apne relationship ke baare me apni mumy ko bataya hai to kya aapki mumy aapko suport kar rahi hai???? Iske baad aap ache se janti hai ke abhi aapki shadi ki umar nahi hai or naa hi aap ab tak self-dependent ho, kya aap muje bata sakte ho ke aapka bf kya karta hai kya wo financially sound hai ya nahi, kya aap sahi maaino me uske saath khush ho, or jaha tak rahi shadi ki baat to aap to abhi shadi ke liye bohot young ho, mere hisab se abhi aapko apne career par dhyan dena chahiye shadi or relationship par jyada sochoge to aapke career pe uska bura asar padega agar aapka bf apse saccha pyar karta hai to wo aapke liye zarur wait karega or uski family ko b samjayega, aap apne bf ke sath is bare me bat kar ke dekhiye uska kya kehna hai, kya wo aapke liye wait karne ko taiyar hai, q k jaha tak muje lagta hai, aap apne dad ko mana ne ki puri koshish karengi ki wo apko apke bf k sath hi shadi karva de....pls kuch sawal ke sahi se jawab dijiyega :
    Kya wo ladka financially strong hai???
    Kya wo apse sach me pyar karta hai???
    Jab Apne apni mumy se ye bat kahi to kya ve taiyar thi apke is relationship ke bare me?????
    Kya aapko lagta hai ke aap apne papa ko convince kar paogi???
    Or by chance agar aapke Dad nahi mante to kya aap unke against jana pasand karogi????
    Me aapke reply ka wait karunga..

  3. #3
    Pulkit's Avatar
    Pulkit
    Pulkit is offline eTI Aluminium
    Hi swamit,


    Dost, yeh baat se aap bhi sehmat hoge ki kaafi choti umar se hi aap relationship aa gye the aur jab aapke relationship ko itna time ho gya hai toh iss baat par koi shakk nahi ki aap dono sachche dil se ek dusre ko chahte ho.
    Jaisa swapnilramani ne kaha ki aapke boyfriend, jo ab 30 ki umarr ke hain, unki umarr ab shadi ki ho gyi hai aur agar unke gharwale ab unki shadi jaldi karwana chahte hain, toh usmein kuch galat nahi hai. Yeh bhi bohot achcha hai ki unki taraf se aapke iss rishte ko razamandi mili hui hai aur unke gharwale aapko apne ghar ka hissa banane ke liye tayar hain. Uljhan sirf yahan aati hai ki abhi tak aapke gharwalon ki taraf se aapko kisi bhi baat ki surety nahi hai.

    Dost, jab kisi rishte mein ek taraf se poori tarah haan ho jaati hai toh uss rishte ko poora karne mein zyada takleef nahi aati hai. 6 saal se aap ek dusre ko jante ho, pyaar karte ho aur unki family bhi tayar hai iss rishte ke liye toh yeh apne aap mein ek achchi baat hai.
    Karna aapko sirf yeh hai dost ki abhi apne ghar mein baat karein apne rishte ke baare mein aur unse sirf itna puche ki kya woh iss rishte ke liye tayar hain ya nahi?? Jab aap, aapke boyfriend and unke gharwale iss rishte ke liye tayar hain, toh chahe shadi abhi ho ya thode samay baad, mujhe nahi lagta usse kuch farak padna chahiye. Iss waqt zaruri sirf itna hai ki dono taraf se baat pakki ho jaye aur dono families iss rishte ke liye haan bol dein. Aap ab iss umar mein hain ki aap legally shadi kar sakti hain. Lekin agar aap abhi shadi nahi karna chahte ho, toh kam se kam ek roka ya ring ceremony jaisi koi choti si ceremony ho jaye jisse aap dono ek permanent rishte mein bandh jao.

    Toh dost aap apne ghar mein apne father se jab bhi baat karo, unhein sirf yeh samjhane ki koshish karo ki aap dono ek dusre se bohot pyaar karte ho, sath mein rehna chahte ho lekin aap abhi apne career par dhyan dena chahte ho, apni zindagi banana chahte ho, apne sapne poore karna chahte ho aur iss liye aap chahte ho ki aapka aur unka roka kara diya jaye ya ek ring ceremony kara di jaye taaki aap dono iss baat ke liye sure ho jao ki aapki families ne aapke rishte ko haan kar diya hai. Baaki shadi baad mein ho jayegi jab aapko lage ki aapko shadi kar leni chahiye.

    Main umeed karta hoon aap apne iradon mein zarur safal hongi !!!
    All The Best !!!
    Take Care !!!


  4. #4
    swapnilramani's Avatar
    swapnilramani
    swapnilramani is offline eTI Iron
    Pulkit yaha muje lagta hai ke humare kabil dost ko apne or unke BF ke parents ki ek meeting fix karni chahiye jab inke BF ke ghar walo ke taraf se razamandi mil chuki hai to unhe bhi ye meeting karne me koi jhijak nai hogi, to Dost aap ek kaam kijiye aap apne ghar par ye relationship ke baare me bataiye or aap or apka bf dono milke apne parents ke ek meeting rakhvaiye taaki jab bade baat karenge to is rishte ko manjuri milne ki sambhavna badh jayegi, aap dono apne parents ko ye tai karne dijiye ki kya ye rishta unhe manjoor hai, muje nai lagta ke aapko aapke bf ke gharwalo ke taraf se koi problem hogi, q k ve to already apko unke ghar ka hissa banane ke liye taiyar hai.
    Apka kya kehna hai Pulkit????

+ Post a Comment HERE!

Similar Topics and Discussions

  1. Weight gain for lean 6fth 21 year guy - weak physique issue
    By Javid shaikh in forum Indian Bodybuilding & Exercise Forum
  2. How can i get my older passport at my permanent address
    By prasenjitchaliha in forum India's Common Men's Issues
  3. Relationship issue - Disturbed as girlfriend sharing secrets with Facebook guy
    By rickmorgan666 in forum Love, Friendship & Relationship Advice
  4. controversial issue.. Gay & Lesbians Relationship
    By changelifeco in forum Indian Current Affairs & Discussion
  5. Where I can get older version of skype
    By Mr.Vishal in forum Computer Software Troubleshooting
X
Have Question? Ask now free!