+ Post a Comment HERE!   + Ask a Question / Post a Topic
Results 1 to 4 of 4

Convince parents to marry 5 years younger boyfriend

Advert.

  1. #1
    pooja 2
    pooja 2 is offline Just in!

    Unhappy Convince parents to marry 5 years younger boyfriend

    Advert.
    meri umr 26 sal ha mai apne se 5 sal chote ldke se pyar krti hu wo v mjhe pyar krta ha, par hamara status, culture, cast, ekdm alg ha meri famly meri shadi jld se jld krana chhte ha,par mai srf usi se shadi krna chahti hu, wo kch kmata nhi mai kya karu

  2. #2
    Pulkit's Avatar
    Pulkit
    Pulkit is offline eTI Aluminium
    Hi pooja 2,

    Pehle toh aapko yeh samjhne ki zarurat hai ki jiss rishte ko aap pyaar ka naam de rhi hain, woh asal main pyaar nahi hai. Aksar aisa hota hai zindagi main jab hum akele hote hain, humare sah koi nahi hota hai, hum khalipan, ek adhurapan mehsoos karte hain, tab agar humari zindagi main koi shaksiyat ati hai..koi insaan ata hai jisse humme baat karke, jiske sath humme reh kar achcha lagta hai, hum uss insaan ki taraf ek khichne lagte hain. Humara aur uss insaan ke sath ek emotional rishta sa banne lagta hai. Uski baatein...uske sath beetaye gye pal humme achchi lagne lagti hain aur humme woh insaan pasand ane lagta hai. Aur aksar yeh hota hai ki hum iss rishte main itna involve ho jaate hain ki humme lagta hai humme uss insaan se pyaar ho gya hai. Lekin dost, yeh asal mein pyaar nahi hota balki humare dil mein uss insaan ke liye jagi ek feeling hoti hai jo time ke sath chali jaati hai. Woh insaan humme sirf isliye pasand ane lagta hai kyunki woh insaan humare uss khalipan ko bharta hai, uss adhurepan ko bharta hai.

    Isliye mere hisab se yeh rishta jisse aap pyaar ka naam de rhi hain yeh pyaar nahi hai balki aapke dimag unke liye uthi ek dosti ki bhavna hai, ek attraction hai jisse aap galti se pyaar samjh baithi hain.

    Yahan par dusri ek aur baat janni bohot zaruri hai, jiss insaan ke baare main aapne yahan bataya hai, jiss insaan se aapko lagta hai aapko pyaar hai aur aap usse shadi karna chahti hain, kya woh bhi aap main utni ruchi rakhta hai ya nahi ? Dekhiye, emotions aur feelings main beh kar pyaar ke vaade sabhi kar lete hain, lekin kuch hi aise hote hain jo inn vaado ko nibha paate hain. Pyaar aur shadi ka matlab sirf hathon main hath daal kar ghoomna-phirna, film dekhna, restraunts main khana hi nahi hota. Pyaar ka matlab yeh bhi hota hai ki aap jiss insaan se pyaar karte hain uski responsibility bhi apne oopar lete hain. Bohot hi suljhi huyi si ek baat hai, jaisa aapne bataya hai ki woh abhi kuch kamaa nahi rhe hain agar woh vakeyee main aapse pyaar karte hote aur shadi karna chahte toh woh iss baare main zarur sochte aur koi na koi kaam karne ki koshish ya jazba zaroor rakhte. Lekin agar woh aisa nahi kar rhe hain toh, mere khyaal se unhe iss baa se koi matlab hi nahi hai ki shadi agar aap dono ki ho bhi jaati hai, toh woh aage aapko kaise rakhenge ??

    Sochne ki baat sirf itni si hai dost, jisse aap pyaar ka naam de rhi hain, woh sirf ek dosti se zyada aur kuch bhi nahi hai. Yeh jo aapke dil main unke liye ek emotional bonding hai, yeh sirf isliye hai kyunki aapko unka thode waqt ka sath bada achcha lagta hai. Lekin yeh janna bhi bohot zaruri hai ki jitna aap unke baare main pareshan hain, jitna aap unke baare main soch rhi hain, kya woh bhi utna soch rhe hain ya nahi ??

    Rahi baat aapki family ki, toh mujhe nahi lagta hai aapki family iss rishte ko sweekaar karengi, kyunki, sahi baat hai, har maa-baap ka sapna hota hai ki unki ladki shadi ke baat ek aise ghar main jaye jahan usse paise aur pyaar ki kami naa ho. Lekin, yahan par unko iss baat ko lekar koi bhi positive point samjh nahi aa rha hai.

    Isliye, sirf itna hi kehna chahenge aapse dost, iss rishte ke baare main aur geherayi se sochna band kar dein kyunki iss rishte ke aage badh paane ke chances kam hain. Iss baat ko yahi khatm kar dene main bhalayi hai kyunki jitna aap isko aur zyada kheechengi, utna hi dukh aur dard aapko hoga jab yeh rishta tutega. So, abhi baat nayi-nayi si hai, isko yahin khatm kar dein. Aur unko bhi samjha dein ki yeh rishta aage badhane main koi bhalayi nahi hai.
    All The Best !!!
    Take Care !!!


  3. #3
    Sweetie's Avatar
    Sweetie
    Sweetie is offline eTI Member
    Kaafi kuch kaha aapne Parr Pulkit ji , fir pyar kise kahenge, kyunki pyaar toh isi tarah shuru hota hai, koi aata hai apke dil mein chupke se jagah bana leta hai.

  4. #4
    Pulkit's Avatar
    Pulkit
    Pulkit is offline eTI Aluminium
    Quote Originally Posted by Sweetie View Post
    Kaafi kuch kaha aapne Parr Pulkit ji , fir pyar kise kahenge, kyunki pyaar toh isi tarah shuru hota hai, koi aata hai apke dil mein chupke se jagah bana leta hai.
    Hi Sweetie,

    Pyaar aur infatuation mein bohot hi minute sa farak hai. Itna minute hai ki hum kayee baar dhokha khaa jate hain. Humme lagta hai humme pyaar hai lekin asal mein woh ek infatuation/attraction hota hai.

    Farak kya hai......

    Pyaar dheere-dheere waqt ke sath badhta hai. Infatuation momentarily hota hai..thode samay ke liye hota hai aur jab hota hai tab bohot zyada hota hai aur phir gayab ho jaata hai.
    Pyaar ki baat karein toh ismein ek security ki feeling hoti hai, ki haan, aap jisse pyaar karte hain woh aapke sath hai aur aap uske. Infatuation main aksar humme darr satata hai ki kahin woh shaksiyat humme chodd ke naa chala jaye. Kehne ka matlab sirf itna hai...pyaar thoda sa mature hota hai aur infatuation ek obsession ki tarah hota hai.

    Zyada farak nahi hai dono main lekin agar hum iss post ki baat karein toh mujhe nahi lagta Pooja ko kahin pyaar hai kyunki ismein kahin bhi practicality, maturity involved nahi hai. Yahan pooja ko shayad uss insaan ke sath rehna, usse baat karna achcha lagta hai iss wajah se unhe woh insaan pasand hai..lekin iss ko main pyaar ka naam nahi dena chahunga kyunki mujhe iss main koi positive future nahi dikh rha hai. Yeh ek jaldbaazi main kiya gya faisla hai, shayad.

    Agar aapko pyaar main kiye gye fasle aur feelings ke baare main janna hai toh humare forum par kuch dino pehle ek post ayi thi zeena ki. Main chahunga aap unki yeh post padhen. Tab shayad aapko thoda sa clear ho, main kya kehna chah rha hoon.
    Link : http://etalkindia.com/talk/love-frie...-his-past.html

    And Sweetie, Pulkit ji mat kahiye please. Mujhe lagta hai hum dono shayad hum-umr hi hain.
    Phir bhi shukriya aapka, meri post par comment karne ke liye. Mujhe aise comments padhna bohot achcha lagta hai.
    All The Best !!!
    Take Care !!!


+ Post a Comment HERE!

Similar Topics and Discussions

  1. How to convince your parents about your love
    By Pulkit in forum Love, Friendship & Relationship Advice
  2. Same caste but Boyfriend is younger than me
    By sneha786 in forum Love, Friendship & Relationship Advice
  3. Going to convince my parents after 2 years for love marriage- is it ok?
    By Akash Singh in forum Love, Friendship & Relationship Advice
  4. How to convince parents of my Boyfriend . We both are working and settled.
    By Ankita Gupta in forum Love, Friendship & Relationship Advice
  5. Going to convince my parents after 2 years for love marriage- is it ok?
    By tejas_76 in forum Love, Friendship & Relationship Advice
X
Have Question? Ask now free!