Hi,

Can anyone Translate Hindi Song - Aate jaate Hanste Gaate into English ?

Lyrics :-

Aate jaate hanste gaate
Socha tha maine mann mein kai baar
Vo pehli nazar halka sa asar
Karta hai kyon is dil ko bekaraar
Ruk ke chalna chalke rukna
Na jaane tumhein hai kiska intezaar
Tera vo yakeen kahin main to nahin
Lagta hai yahi kyon mujhko baar baar
Yehi sach hai shaayad maine pyaar kiya
Haan haan tumse maine pyaar kiya

Aate jaate hanste gaate
Socha tha maine mann mein kai baar
Honthon ki kali kuchh aur khili
Ye dil pe hua hai kiska ikhtihaar
Tum kaun ho batla to do
Kyon karne lagi main tumpe aitbaar
Khaamosh rahoon ya main keh doon
Ya kar loon main chupke se ye sweekaar
Yehi sach hai shaayad maine pyaar kiya
Haan haan tumse maine pyaar kiya .

Thanks in Advance !

Nupur