+ Post a Comment HERE!   + Ask a Question / Post a Topic
Results 1 to 4 of 4

Inter caste marriage - Parents can insult my love

Advert.

  1. #1
    Unregistered Guest

    Inter caste marriage - Parents can insult my love

    Advert.
    i am 24yr. old.i love a guy.hum dono apni relationship ko lekar serious H,BUT PROBLEM IS K HMARI CASTE ALAG-2 H.MAINE EK BAR GHAR PR BAAT KI THI,ABOUT HIM,BUT MERE PARENTS TOTALLY AGAINST H INTERCASTE MARRIAGE K.MAINE USKE BAD PHR APNE GHAR BAAT NHI KI.MAIN APNE PARENTS KA DIL NI DUKHANA CHAHTI,MAIN KYA KARU?MAINE MAINE BF KO BHI GHAR A K MERE PARENTS SE BAAT KARNE KO MNA KR DIYA H KUKI MAIN APNE PARENTS KA NATURE BHUT ACHE SE JANTI HU WO ULTA SIDEHA KAHEGE BUT KBHI AGREE NHI KAREGE SHADI K LIYE.MAIN NHI CAHTI K MERE PARENTS USKI BEZZATI KARE.MAIN KYA KRU??

  2. #2
    Pulkit's Avatar
    Pulkit
    Pulkit is offline eTI Aluminium
    Hello There,
    Dost aap jo bhi hain, aapke liye yeh janna bohot zaruri hai ki aap pyaar karti hain aur yeh ek aisi cheez hai jismein khushiyan bhi hain aur dukh bhi, jis mein maze bhi hain aur mushkilen bhi aur agar aap aise darr jayengi toh aap hi bataiye kaise kaam chalega?

    Main sirf itna hi kehna chahta hoon, apne pyaar ke baare main apne parents se baat karne main unhe hurt karna ya unke dil ko chott pahuchana nahi kehte. Woh aapke parents hain aur kabhi bhi aapko koi problem hogi aap sabse pehle unke paas hi jayenge, yeh baat woh bhi jante hain. Toh agar aapko yeh lagta hai ki apne pyaar ke baare main ghar par baat karne se aapke parents ko dukh pahchta hai toh yeh aap galat sochti hain.

    Yaad rakhiye, pehli baar main lagbhag har parents love marriage ke liye manna hi kar dete hain. Lekin agar aap lagataar koshish karengi unko samjhne ki, ki jis insaan se aap pyaar karti hain woh aapke liye best hai aur wohi ek insaan hai jiske sath aap khush reh sakti hain, toh main samjhta hoon ki woh zarur manenge.
    Har mata-pita ki yeh ichcha hoti hai, dost ki woh apne beti ki shadi kisi aise ghar main karen jahan woh khush rahe, sukhi rahe aur agar unko yeh yakeen dilane main kamiyaab ho jaati hain ki aapke boyfriend mein woh jazba hai ki woh aapko khush rakh sakta hai, toh aapke parents iss rishte ke liye zarur tayar ho jayenge.

    So, ek baar baat karne se kuch nahi hoga, lagataar koshish karte rahiye aur main umeed karta hoon aapko kamiyabi zarur milegi.
    Last edited by Pulkit; 08-17-2012 at 06:56 PM.
    All The Best !!!
    Take Care !!!


  3. #3
    Nazneen
    Nazneen is offline eTI Member
    Hey!

    Aapke boyfriend kya karte hai? Agar woh koyi accha sa job karta ho, toh aapke parents ko manana zyada difficult nahi hoga. Ek ladke mein har ek ma baap baas yehi chahte hai k woh unki beti ko khush rakh sakhe, financially stable ho aur bohot pyar de.
    Aap log already ek dusre se pray karte ho. aap apne parents ko batao k aapka boyfriend aapko bohot khush rakhega. Per parents se baat karne se pehle yeh zaruri hai k he is doing something good in life.

    Apne boyfriend ko batao aapke ghar mein haalat kya hai. See if he is still prepared to meet them and make them understand.
    Per there are few things you should consider.
    Aap apne pyar k liye ladh paoge? Kya woh aapko khush rakh sakega?

    You know, hum ladkiyan bohot emotional hotein hai aur bohot sarein decisions maa baap k khelaaf le letein hai. You have to REALLY know that he loves you, understands you and will keep you happy cause jab aap apne parents se uske barein mein baat karoge phir se, tab aapko bohot confidence k saath baat karni hogi. Kisiko apne points dekhane se pehle khud ko samjhao k kyun aapko usse he shaadi karni hai. Kyun uska caste aapke liye koyi maine nahi rakhte.
    Aap log different caste k ho per same religion k ho na? In the end, same he God ko mante ho.. so main koyi problem nahi dekhti.

    Per phir bhi agar aapke parents na kare, toh the decision is yours. Zindagi mein hamesha choices hotein hai. Sabko khush rakhna namumkin hai. Ek ko khush karne jayo to dusra ruth jatein hai. Love aur family mein se ek ko chunna bohot difficult hai, I know, per it's your life. Agar aapko lagta ho k yehi ladka aapke liye sahi hai aur aap koyi galti nahi kar rahe ho toh pehle shaadi karlo.. In most cases baap ma baad mein razi ho jatein hai.

  4. #4
    rahul_rastogy
    rahul_rastogy is offline Newbie
    Its not about getting insulted, its just that you have to gather that strength and stand together to get yourself into a strong relationship and try to convince else, will think of something else then.

    ___________________
    Get Lover Back
    Last edited by rahul_rastogy; 09-17-2012 at 03:08 PM.

+ Post a Comment HERE!

Similar Topics and Discussions

  1. How to convince girl's parents for love marriage in same caste.
    By anubhav007 in forum Love, Friendship & Relationship Advice
  2. Inter religion marriage - How to convince heart patient parents
    By mishka in forum Love, Friendship & Relationship Advice
  3. Want to ask for a advince related to inter caste marriage
    By tara13 in forum Love, Friendship & Relationship Advice
  4. My girl is hesitating bcz parents wont agree for inter religious marriage
    By donotknowanything in forum Love, Friendship & Relationship Advice
  5. Convincing the orthodx parents for a marriage in the same caste with different subcaste
    By ramsameep in forum Love, Friendship & Relationship Advice
X
Have Question? Ask now free!